Saturday, October 28, 2017

ANJEER KAY BESHUMAR FAIDAY

Anjeer ko jannat ka phal bhi kaha jata hai, ye dublay patlay aur kamzor logon kay liye besh baha naimat hai. tajarbay kar logon ka kehna hai kay rozana anjeer khanay say motapay pay qaboo paya ja sakta hai.
Anjeer bepanha aur sehat baksh faiday ka phal hai, din main 4 say 5 daanay anjeer kay khany say motapay par qaboo paya ja sakta hai is main itni calories hain jo body ki zarorat kay liye kafi hain anjeer kay andar protein, minerals, sugar, calcium aur phosphors paye jatay hain dono anjeer yani khushk aur tar main vitamin A aur C kafi miqdar main mojood hota hai vitamin B aur D qaleel miqdar main hotay hain in ajza ki waja say anjeer ik gizai dawai ki haisiyat rakhta hai.
Anjeer ka musalsal istemal say hadiyan mazboot hoti hai expert ka kehna hai kay 1 anjeer ka istemal insan ko darkar folad ka taqreeban 2% pora kar deti hai.
Wo log jo apna wazan kam karna chahtay hain wo anjeer ka musalsal istemal zaror karain kun kay is main kuch khas qisim ki calories pai jati hain kiyon kay ik anjeer main sirif 47 calories hoti hain.
khoon kay dabao kay shikar afrad main potassium aur or sodium ki satah mutanasib nahi rehti lehaza anjeer ka istemal is satah ko bahal karnay main madadgar hotay hain anjeer main shamil anti oxidant degar phal ki nisbat ziyada miyari hotay hain jo kay insani zarorat kay liye intehai mozon aur zarori hain lihaza ap ko chahiye kay anjeer ka istemal apni rozana ki zindagi main shamil karin ye Allah tala ka ik azeem inam hai.

No comments:

Post a Comment

Good news PSL 2018 player selection by their Frenches

Islamabad United 10 Alex Hales 3 January 1989  (age 28) R R medium fast 2018 Overseas 13 Asif Ali 1 October 1991  (age 26) R R mediu...