Kheera jisim ko taro taza rakhnay wali ik behtareen sabzi hai jo kay aam to pay salad kay tor pay istemal ki jati hai kheera ghizaiyat say bharpoor vitamin aur madaniyat ka majmoa hai is main moojod ghazai ajza jisim kay kam karnay ki salahiyat ko barhatay hain jo jisim ko mukhtalif qisim ki bemariyon say larnay main madad farham kartay hain ham ko chahiye kay kheeray ko apni rozmarrah kay khanay main batoor salad istemal karain.
kheeray main yun to bohat say vitamin shamil hain magar is main kuch aisay murakkabat shamil hain jo cancer kay asrat ko kam kartay hain tehqiq kay mutabiq ye murakkabat chati kay caner prostate kay cancer aur haizay kay imkanat ko kam say kam karta hai.
kheera ik kam calories wali ghaza hai bahar ki kam calories wali ghaza talash karnay say behtar hai kay ap kheeray ka istemal musalsal karain kheera weight main kam karnay walay logon kay liye ik zabardast diet plan hai beshak kheera ik bharpoor aur behtareen ghiza hai.
reshay dar ghaza hazmay kay liye ik zarori cheez hai khus qismati say kheery main aisay bohat say compound mojod hain jo nizam e inhizam kay liye nihayat faiday mand hain kheeray main moojod murakabat na sirf blood pressure control karnay main madad detay hain balkay ye cholesterol ki satah ko kam karnay main bhi madad farham kartay hain.
kheeray main vitamin A B1 B6 vitamin C D calcium magnesium aur potassium paya jata hai ye ap kay khanay ka sahi intekhab hai ap khud hi apni sehat aur tawanai ki satah main tabdeli mehsos karain gay bila shuba kheera Allah tala ki azeem naimaton main say ik hai.

No comments:
Post a Comment