Friday, October 27, 2017

LOKI KAY BESHUMAR FAWAID

Loki jisay kaddu bhi kehtay hain ik maqbool e aam sabzi hai is ka rang bahar say sabz aur andar say sufeed hota hai ye lambi aur gool shakal main hoti hai gizaiyat kay itbar say is ka shumar ik behtareen sabzi main hota hai gosht aur garam masalay ki aamezish say is ki taseer aur zaiqay main qadary izafa ho jata hai halki anch pay pakaya hoa kadu ka salan ik kaseer ul giza aur qudrati tonic hai is main vitamin A aur B kay sath sath calcium aur potassium bhi wafir miqdar main paya jata hai.
loki stomach saaf karnay main bohat aham kirdar ada karti hai sath hi jisim ko sehat mand bhi banati hai daimi qabz garam mizaj kay logon aur mehnat mushaqat karnay waly logon kay liye loki aur chanay ki dal ka pakwan behtareen aur sehat baksh ghaza hai loki gurday ki bemari kay liye bhi bohat mufeed hai agar peshab kam aata ho ya jalan kay sath aata ho to loki ko bhabhla kar is ka pani nichor kar penay say peshan khul kar aata hai aur sath main jaln bhi khatam ho jati hai kadu ka 1 pao ka salan chapation kay sath khanay say ik waqat ki bhar poor ghiza mil jati hai.
mukhtasar ye kay kaddu ya loki ka istmal sehat kay liye bohat hi faiday main aur sehat afza hai ham Allah tala ki is azeem naimat ka jitna bhi shukar ada karain wo kam hai. 

No comments:

Post a Comment

Good news PSL 2018 player selection by their Frenches

Islamabad United 10 Alex Hales 3 January 1989  (age 28) R R medium fast 2018 Overseas 13 Asif Ali 1 October 1991  (age 26) R R mediu...