Bila shuba lemon apnay tursh aur mazedar zaiqay kay sath sath vitamin c aur alpha hydroxi acid say mala mal hai lemon ka ras tabiat ko farhat tazgi aur nizam e hazam ko taqviyat pohanchta hai dil aur maiday kay amraz kay liye lemon sadiyon say istemal kiya ja raha hai lekin kiya aap ye bat jantay hain kay lemon ka chilka bhi ham ko kitna faida pohancha sakta hai ji han lemon ka chilka bhi bohat kam ki cheez hai kunkay lemon ka chilka paith ki takaleef kay liye bohat mufeed hai america aur europe main is ka ras medicine main istemal kiya jata hai.
lemon main kun kay potassium ki miqdar ziyada hoti hai is liye ye dil ko kam karnay kay qabil rakhnay main madad faraham karta hai wo log jo dil kay amraz main mubtila hain lemon ka ras un kay liye tonic ka kam karta hai lemon ki khushboo qudrati toor pay keray makoron ki dushman hai is liye jahan lemon mojod ho wahan keray makoray qareeb nahi aatay agar nihar moo lemon ka ras istemal kiya jaye to ye jigar kay liye tonic ka kam karti hai agar garam pani main lemon ka ras dal ka piya jaye to ye maiday ki tezabiat ko khatam kar deta hai rat ko sonay say pehlay agar pi liya jaye to paaon ki ainthan aur jhanjhanahat kham honay main madadgar sabit hota hai doran e koon kay nizam ko tawana rakhnay kay liye lemon ko apni roz marrah ki khurak main zaror shamil karain.
mukhtasir ye kay lemon ka razana istemal zaiqay kay sath sath insani sehat kay liye bohat mufeed hai ham Allah tala ki is anmol naimat ka jitna bhi shukar ada karain wo kam hai.

No comments:
Post a Comment