Badam ko dimagh ki taqwiyat kay liye aik behash bha cheez samjha jata hai. Gramiyu may is ko pees kar thandai kay tor par or jaroo may hariray kay tor par istemal kiya jata hai.galay ki khoski may is ko chabana galay ko saaf karta hai or kharish ko dohr karta hai. Dood ki kam yabi ki surat may badam ka behtreen badal hai balkay milk sa bhi ahca hai. badam ki aik kisam karvi bhi hoti hai. Talkh badam ko agar zaida miqdar may khaya jae to zahrila asar paida ho sakta hai. Aik do badam tak to muzaiqa nahi. Lakin zaida mikdar may talkh badam har giz istemal nahi karna chayeh.
Meethay badam bohat laziz hotay hain or inhay ziabitas kay mariz bhi ala giza kay tor par istemal kar saktay hain.
Har roz rat ko sotay waqt agar 11/12 badam ki istemal ki jai to suhba ko hajabat asani sai or khol kar hogi. Jin hazrat ka maida kamzor ho wo 7 adad badam kay saat 6 masha sonf or 6 masha misri pees kar sotay waqat garm dodh kay sath istemal karey.
7 adat badam aik tola misri k sath raat ko sotay waqt kha liya karey is say ap ki nazar taiz hojai gi or dimag ko bhi taqaat ho gi. 21 adad magaz badam har roz chaba kar kha liya karey. is tara aap ki ankho say pani bahna band hojai ga.
Badam ki garyan 7 adad misri 6 masha or sonf 6 masha. sonf or misri ko koth kar safuf taiyar kar lay or har roz raat ko sotay waqt garam dodh say istemal karey. Magar is kay bad pani ka istemal mana hai. Ye nuska ap mutawatir istemal kijiye. Insha Allah aenak say chotkara mil jai ga. Agar haamila orat 7 way mahenay say chota chamcha rognay badam raat ko sotay waqt peena shuru kar day to bacha ki pedaish may saholat hoti hai.
Pani may bhigo kar cheelay howy badam 10 adad lay kar bareek ghot lay or josh khatay howy ada sair dood may mila day. Jab do teen josh ajae tu doodh aag say utar kar thanda karay. jab peenay kay laik hojai to misri ya khand milai.lakin shahad milany say zaida maqwi ban jai ga. Yeh doodh nihayt he khush zaiqa or maqwi hota hai. Sirf dimag he nahi balkay tamam jism ki parwarish karta hai.

No comments:
Post a Comment